Agar aap ghar baithe internet ka istemal karke online earnings karna chahte ho toh phir ye blog post sirf aapke liye hai, isme maine 19 ways share kiye hai ke how to earn money online wo bhi hindi mein.
Hopefully apko ye pata hoga ke agar aap chaho toh ghar baithe hi internet ke through online paise kama sakte ho, par ek baat main aapko pehle hi bata dena chahunga ke online earnings karna itna bhi aasan nahi hai aur iske liye bhi aapko bahut mehnat karna hoga.
Mujhe bhi apni pehli online earning karne me lagbhag 7 months lag gaye the aur un dino maine bahut hi mehnat kiya tha aur bahut kuch seekha tha jisse ke main aaj kamyab ho paya aur apne 9 to 5 job ko chor paya, aur aaj main sirf online earnings ke zariye hi zindagi basar kar raha hoon.
So agar aap waqay me online paise kamana chahte ho toh phir sabse zaroori cheez ye hai ke aapko bahut seekhna hoga aur jo bhi aap seekho usko real life me jald se jald implement karna hoga, aur tabhi aap ki mehnat rang layegi warna ye online earnings aapko sirf ek fairy tail hi lagegi.
Toh main aapse guzaarish karta hoon ke agar aap ek student ho, housewife ho ya phir aap kahi job karte ho aur saath mein kuch passive income ka source create karna chahte ho toh phir yeh article sirf aur sirf aapke liye hai jisme maine bahut saare bilkul genuine aur proven methods aapke sath share kiya hai online money making se related.
In mein se kuch methods se aap bina kuch investment ke hi online earnings kar sakte ho aur kuch methods aise hai jinko karne ke liye aapko thodi bahut investment karni padh sakti hai so aap is article ko zaroor padhein aur apna source of online income create karein jo ki mushkil toh hai par namumkin nahi hai.
Aaj ke is modern technology waale generation mein koi bhi jankari hasil karne ke liye bas ek click karna padhta hai Google jaise search engine mein, aur fir har information aap ke samne hota hai.
Mujhe pata hai ki aap bhi janna chahte ho duniya bhar mein aur logon ki tarha online earning kaise ki jaa sakti hai par kuch choti rukawaton ke wajah se aap aage nahi badh pani rahe ho.
Woh rukaawat koi bhi ho sakti hai, jaise ke knowledge ki kami, information ki kami ya phir kamzor english etc.
Par maine aksar dekha hain ke kuch log tez dimag aur mehnati hone ke bawajood bhi online paise earning nahi karpaate hai aur iski wajah ye nahi hoti ke Google mein search karne se unko resources nahi milti hain.
Balke iski sabse badi wajah yeh hoti hai ke resources available hone ke bawajood bhi woh unse sahi tarike se kuch seekh nahi paate hai aur yeh sirf isliye kyunki unko english padhna toh aata hai par sahi tarike se woh use samajh kar kuch seekh nahi paate hai.
So agar aaj google mein dhoondte huye aapko yeh article mili ho toh aapko bohot bohot mubarak kyunki yeh website maine sirf aur sirf aapke jaise zaroorat mand logo ko online marketing aur business sikhaane ke liye hi banaya hai jo aap chahte huye bhi seekh nahi paate hai.
Kyunki aapko english padhna toh aata hai but aap use samjhna seekh rahe ho aur abhi ke liye kuch aise resources ki talash mein ho jahan aap har cheez hindi mein hi padh paao par likhawat english mein ho toh behtar hoga.
Toh abhi aap jo padh rahe ho usey Hinglish kaha jata hai aur yeh language maine yahan sirf aapke liye hi istemaal kiya hai.
So yeh website sirf aur sirf aapke liye hi hai kyunki mera maqsad hai har Indian internet ka sahi istemal seekh paye bina kisi rakawat ke aur uske zariye se ghar baithe paise kama paaye jaise ki puri duniya kama rahi hai.
Is article mein maine har woh online earnings ke tarike ko aap ke share kiya hai jo main jaanta hoon aur in mese kuch tarikon ka main khud bhi use karta hoon online earning karne ke liye.
Maine is article ko bohot saare categories mein divide kiya hai toh aapko online earnings ke jis topic mein zyada interest ho aap use padh sakte ho apne pasand ke hisab se.
Make A Website & Earn Money From That Website
Duniya bhar mein ye ek bahut hi famous aur accha tarika hai online paise kamane ka, ab aap soch rahe honge ke bhala website se kaise paise earning ki ja sakti hai ya phir kitna hi earn kar sakte hai ek website se.
Toh phir main aapko bata du ke website ek aisa source hai online earning karne ke liye jiske zariye se log laakhon kama rahe hai aur isi ke kamaye paison se unki zindagi chal rahi hai.
Yaha par main aapko kuch methods bata raha hu jinko use karke aap bhi website bana kar usse paise kama sakte hai.
Par usse pehle main aapko yeh batadu ke yeh “get rich quick” wala koi tarika nahi hai, iske liye aapko bahut mehnat karna hoga aur kuch waqt ke baad aap result khud hi dekh payenge.
1) Make Money From Blogging
Ab aap sochoge ke main toh abhi website ke baare mein baat kar raha tha to phir yeh blogging kahan se aa gaya, aur kya difference hai website aur blogging mein!
Toh in short mein jaan lijiye ke blog, website ka hi ek hissa hota hai jisme aap koi bhi information aur knowledge share kar sakte hai internet ki duniya mein, aur blog and website me ek major difference hai hai, wo ye ke “har blog ek website hota hai, par har website blog nahi hota”.
Hopefully aapko website aur blog ke baare mein basic idea ho hi gaya hoga, toh ab asal mudde mein aate hain ke website aur blog se earning kaise hosakti hai.
Toh main aapko bataadu ke kisi bhi website ya blog ko aap monetize kar sakte hai alag alag method se jo main niche discuss karne wala hoon.
Usse pehle aap ye jaan lijiye ke blogging start karne se pehle aapko koi ek niche yani ke topic select karna hota hai jiske kuch examples maine share kiye hai is article mein.
Aur most important aapko SEO yaniki Search Engine Optimization sikhna padega tabhi aap blog se paise earning kar payenge.
A) Personal Blogging To Earn Money Online
Personal blogging ka matlab ye hai ke aapne ek blog banaaya jismein aap aapne life se related koi bhi experience ko share kar sakte ho, chahe woh koi incident ho ya phir koi teaching ya phir apni story.
Aur fir us blog ko aap Google Adsense se monetize kar sakte ho jo ki ek advertisement service hai aur iske zariye se aap apne website me ads display karke easily earnings kar sakte ho jo ki kafi simple aur easy tarika hai aur main khud bhi is method se online earning karta hoon.
B) Event Blogging To Earn Money Online
Event blogging ka main purpose hota hai kisi bhi upcoming event jaise ke New Year, Holi, Diwali aur bhi bohot saare events hote hai jinko target karke uske base pe ek dedicated blog create karna.
Aur fir us blog ko Adsense yafir kisi Affiliate market jaise ke Amazon Affiliate ke zariye se monetize karke aap easily aur bohot kam waqt mein hi achche khase paise earn kar sakte hai, aur yakeen maniye laakhon log is method se anginat paise bana rahe hai.
C) Fashion, Food Or Travel Blogging To Earn Money Online
Ye teeno ek bahut hi hot topic hai blogging ki duniya mein aur duniya bhar mein laakhon log aise hi online earnings kar rahe hai.
Toh agar aapko lagta hai ke aap in teeno mein se yaanike fashion, food ya phir travel, kisi bhi topic me expert ho aur aapka passion hai to phir aap in mese koi bhi topic mein blog banakar usey Adsense yafir Amazon Affiliate ke zariye se monetize karke aap kafi paise online kama sakte ho.
D) News & Media Blogging To Earn Money Online
News & media blogging ek aisa topic hai jiske zariye se bohot hi short time mein aap apne blog ko stable kar sakte ho, par iske liye chahiye jee tod mehnat, consistency aur patience.
News & media blogging ke liye sabse important hai koi bhi trending topic mein article likhna aur usko social media ke zariye se viral karna.
Is tarike se agar koi bhi news or information jo ki abhi kisine cover nahi kiya ho aur aapne pehle cover kar liya aur sahi se uski promotion karli toh phir apne blog se kafi short time mein aap acha khasa income karne se lekar apne blog ko popular bhi kar sakte hai jise sahi tarike se monetize karke aap regular income generate kar sakte hai woh bhi aasani se.
E) Niche Blogging To Earn Money Online
Upar bataye gaye saare categories mein ye wala method sabse zyada use kiya jaane wala method hai blogging ki duniya mein, aur is tarike se aap ek sath kayi niche website banakar usse regularly income generate kar sakte hai woh bhi long time ke liye.
Niche ka matlab hota hai ek particular topic ya narrow topic, as for example manlo aapne ek topic select kiya photography se related aur woh website dedicated ho sirf aur sirf photography sikhane ke liye.
To phir chances bahut zyada badh jata hai ke woh website Google mein rank karegi aur aapke website mein visitors bhi din ba din badhte chale jayenge kyunki kisi bhi website jo ek niche topic ke liye ho use authority site mana jata hai aur usko Google mein zyada priority diya jata hai.
So is tarike se aap kayi niche blog bana sakte hai alag alag topic mein aur usey alag alag method se monetize karke regular recurring passive income bana sakte hai.
Par iske liye sabse zyada important hota hai sahi niche select karna aur apne readers ko value provide karna, yanike proper information woh bhi in depth.
Aur agar aap quality content provide karte ho apne kisi bhi niche blog mein toh phir aapko is field mein success hone se koi bhi nahi rok sakta.
Start An Ecommerce Business To Earn Money Online
Ecommerce business online income generate karne ka bahut hi jaana maana method hai.
Ek baat jo yaha batana zaroori hai woh yeh ke aap apna khudka shopping portal bana sakte hai par yaha main aapko recommend karunga ke aap kisi ek platform ko select karke usme apna online store banaye.
Kyon ki ye bahut easy hota hai aur isme aap bahut hi kam effort diye hi ek professional looking online store create kar sakte hai as similar to Amazon or Flipkart.
Is article mein maine kuch platform ke baare mein aapko bataya hai jo ki mere hisab se acchi plus easy to use hai specially beginners ke liye.
2. Create Your Ecommerce Store On Instamojo
Instamojo aaj ke waqt mein India ka ek aisa online platform hai jo ki aapke liye ek bahut hi useful tool sabit ho sakti hai online paise kamane ke liye, iski sabse khas baat hai ke yeh ek Bangalore based Indian company hai,
Jo ke koi bhi Entrepreneurs, Solopreneurs yaafir Freelancers ko ek aisa platform provide karti hai jaha woh apna ek online store create karke apne kisi bhi physical or digital products ko sell karke easily payment collect kar sakte hai woh bhi hassle-free tarike se.
Toh aap bhi aaj hi apna ek online store Instamojo mein create karke isse kuch income toh kar hi sakte hai, aur woh kuch kitna ho sakta hai yeh totally aapke skills pe depend karta hai.
3. Start Your Own Ecommerce Store In Shopify
Shopify ek world famous sabse zyada use kiye jaane wala platform hai jo ki ek complete E-commerce solution hai, yaha pe aap apna pura ka pura online store create karke kuch bhi sell kar sakte hai.
Is mein aap koi bhi physical aur digital product (jaise ke eBook or online Courses) sell kar sakte hai, credit card se payment bhi receive kar sakte hai aur iske alava aap apne orders ko track bhi kar sakte hai.
Toh phir aap agar apne khud ka ecommerce business start karna chahte ho aur aaj tak samajh nahi paa rahe the ke kaise kya karna hai to phir aap zaroor se zaroor Shopify ko try karo kyun ki ye aapke liye ek fayde ka sauda ho sakta hai.
4. Sell Your Hand-Crafted Creation On Your Etsy Store
Kya aap apne khudka product banate ho? Apne hand-crafted product create karna aapka passion hai?
Toh phir Etsy ek aisa platform hai jahan par aap apna hand-crafted products ko apna Etsy ecommerce online store create karke usme listing kar sakte ho aur isse achi khasi income generate kar sakte ho.
Lekin har online business ke tarha yaha par bhi pehle sahi tarike se market research karna aur uske baad hi isme kudna warna earnings ke jagah loss bhi hosakta hai.
Provide Freelancing Services Online To Earn Money Online
Aaj tak aapne apni life mein kuch na kuch toh skill seekha hi hoga, chaahe woh koi bhi skill ho jaise ke photo edit karna, logo create karna, bookkeeping karna ya phir typing karna, to phir aap apne us skills ko properly utilize karke usse online earning bhi kar sakte hai niche bataaye gaye in websites ke zariye se.
5. Sell Your GIG On Fiverr To Earn Money Online
Fiverr ek aisa website hai jaha par aap apne kayi skills ko provide karke dollars mein earning kar sakte hai.
Yeh bohot hi easy to use platform hai, yahan aapko apne skills ke mutabik GIG yaanike service GIG create karna hota hai jiska aap minimum $5 US Dollar aur maximum jitna aap chaho charge kar sakte hai.
Aur is tarike se aap easily online income start kar sakte hai as a freelancer, par ek baat yaha batana zaroori hai ke aapko order generate karne ke liye apne GIGs ko social media ke zariye promote karna padega tabhi aap ko kaam milna start hoga par jab aap kuch orders complete karlenge tab aapko easily order milne lagenge.
Aur yaha main aapko batana chahunga ke Fiverr ke zariye se hi main apne total earnings ka 30% tak kamata hoon.
6. Sell Service On UpWork To Earn Money Online
Fiverr ki tarha upwork bhi ek bohot hi jaani maani platform hai jahan se freelancing karke aap online earning kar sakte hai apne skills ke dam par.
Main yahan pe Upwork ke bare mein zyada baat nahi kar raha hoon kyon ki in logon ka ek approval process hota hai aur jab bhi koi yaha pe freenlancing ka account banane ke liye apply karta hai tab ye log chahe toh use approve bhi kar sakte hai aur reject bhi.
Par jo bhi ho ye ek world class freelancing platform hai jisse koi bhi achi khasi online income generate kar sakta hai agar usko apna kaam bahut acche se ata ho toh.
7. Provide Service On 99Designs To Earn Money Online
99 Designs specially unke liye hai jo kisi bhi tarike ka design ka skills rakhte hai aur apne skill ko provide karke woh is website se online earnings kar sakte hai.
Woh design kayi tarike ka ho sakta hai jaise ke graphic design, logo design, social media images design and many more.
8. Content Writing For Other Websites To Earn Money Online
Aaj ke waqt mein ye ek bahut hi popular way hai online earning karne ke liye, agar aap ko likhna aata hai yani ke aapne seekha ho ya fir aapko experience ho toh fir aap kisi ke liye bhi blog article, email content writing, copywriting karke ussey online paise bana sakte hai.
Aap Fiverr mein bhi iska GIG create karke sell kar sakte hai ya phir aise bohot se individual blogs and websites hai jo acche content writer ki talash mein rehte hai.
Aapko bas unko dhoondna hai aur unse kaam lena hai Linkedin jaise social media ya phir Facebook groups ke zariye se, and believe me aise hazaaron content writing ka kaam aap ko mil sakte hai jisse aap bahut paise earning kar sakte hai apne skills aur mehnat ke badle mein.
Teach Online Anything To Earn Money Online
Aap teaching ke job ke bare mein toh jante hi honge, par main aaj yaha par online teaching karke earning karne ki baat kar raha hoon, is mein hairan hone ki koi baat nahi hai kyon ki aise bahut se platforms hai jaha par aap online training provide karke achi khasi income generate kar sakte ho.
Aur is kaam ki sabse khaas baat hai aapko earnings ke sath sath respect bhi milegi aur aap hazaron zaroorat mand logon ko kuch seekha payenge jo bhi aapko aata ho.
9. Teach Online On Udemy To Earn Money Online
Udemy ek aisa website hai jaha pe aapko har kisam ki online video courses available milenge aur iski sabse khaas baat hai ke yaha ke courses keemat ke hisab se paise wasool hote hai, aur maine khud kayee courses yaha se purchase kiye hai jisse mera khud ka bahut benefit hua hain.
Ab aapko main yeh bata du ke Udemy mein aap khud bhi ek teacher ban sakte hai aur apne skills ke hisab se aap yahan courses sell kar sakte hain, aur jab jab aapka course yaha sell hoga aapko uska share of income aata rahega for lifetime.
Par ek baat batana zaroori hai yaha ke yaha pe competition bahut zyada hai lekin agar aap koi aisi course provide karte ho jo value for money ho aur log use pasand kare toh phir aapko online teaching and training ke field mein success honese koi nahi rok sakta hai.
10. Sell Courses On Instamojo & On Your Own Website To Earn Money Online
Agar aap chahte ho ke aap apni courses khud banakar khud promote karo aur share of profit kisi aur ke sath share na karna pade to phir aap apne courses create karke unko apne khud ke website se bhi bhi sell kar sakte ho ya phir apne Instamojo store se bhi sell kar sakte ho.
Lekin Udemy jaise platform pe log aap par easily trust karenge kyon ki yeh ek well reputed and well-established brand hai, aur iske alawa agar aap apni website se apne courses sell karna chaho toh phir aapko isme investment zyada karne honge waisa platform set up karne ke liye.
Par aap agar agar apne courses mein best value provide karo aur apka website bhi Udemy jaisa courses sell karne ke liye optimized ho aur aap sahi se content marketing karo to phir Instamojo and apne website se bhi aap easily regular courses sell karke ek recurring online passive income ka source create kar sakte ho.
Sell Products Online Through Big Ecommerce Websites To Earn Money Online
Isse pehle wale method mein maine aapko yeh bataya tha ke kaise aap apna khud ka online store create kar sakte hain, par abhi is method mein main aapko ye batane wala hoon ke agar aap chaho toh aap kisi bhi famous e-commerce website pe apne khudka product sell karke online earnings generate kar sakte ho.
Aur niche sections mein maine aise kuch online websites ke bare mein discuss bhi kiya hai jahan pe aap apne products ko sell kar sakte ho woh bhi bina kisi huge investment ke.
11. Amazon FBA Business Model To Earn Money Online
Agar aap Amazon jaise world’s largest online selling portal mein apna product sale karna chahte ho toh ye bilkul mumkin hai aur iske liye aapko Fulfilled-By-Amazon (FBA) Business ke liye registration karna hoga.
Iske baad sahi tarike se market research karne ke baad koi bhi product aap asani se yaha sell kar sakte ho aur isme Amazon hi aapke behalf mein product pickup bhi karega pack bhi karega plus delivery bhi karega.
Sabse khas baat ye hai ke aapko free mein exposure milega aur apne product ka koi marketing nahi karni padegi kyon ki Amazon hi ye sab kuch karega aapke liye.
Bas ek kaam jo aapko bahut hi carefully karna hoga aur woh hai sahi waqt mein sahi product ka selection karna aur uske baad aap yahan se itni online earnings kar sakte ho jiski koi limit nahin.
12. Sell Photos On Some Best Websites To Earn Money Online
Agar aap ek professional ya phir beginner photographer ho aur aap chahte ho apne is skill ko use karke kuch paise income karna ya phir as a profession isko lena toh phir main aapko ek good news dedu ke aap is skill ke zariye online earning kar sakte hain woh bhi asani se.
Kuch aise websites hai jahan par aap apne click kiye huye photos sell kar sakte hai aur online income kar sakte hain, toh maine yaha kuch websites jo reliable hai unka naam recommend kiya hai aap khud check karlo aur thoda research bhi karlo.
13. Selling On Ebay To Earn Money Online
eBay ek bahut hi accha platform sabit ho sakta hai agar aap product auction yanikey neelami karke online earnings karna chahte ho toh.
Aap eBay mein eBay Power Seller ke liye registration karne ke baad yahan koi bhi product ka auction laga sakte ho.
Par iske liye sabse zyada zaroori hai proper market research, most demandable product ko select karna aur kuch successful eBay sellers ke strategies aur listing ko sahi se analize karna.
Aur uske baad aap kafi earnings kar sakte ho is online platform ka istemal karke.
Create Contents To Earn Money Online
Content creation aaj ke waqt mein ek primary source of income ban chuka hai, aur hazaron log isi tarike se apni zindagi khush hasli se basar kar rahe hai.
Isi content creation ke base par kayi multi million dollars ke businesses establish ho chuka hai jo har din lakhon mein kama rahe hai, aur un mein se kuch ka naam hai BuzzFeed, WittyFeed, ScoopWhoop aur bhi bahut sare naam hai batane ko par I hope ke ye sab naam aapne kahin na kahin suna aur dekha hoga.
14. Make Money On YouTube By Creating Videos
YouTube mein video upload karke log salon se hazaron laakhon mein kama rahe hai, par India mein Jio internet aane ke baad hi YouTube content creators ki tadad bohot zyada increase hua hai.
Ab aate hai mudde par ke YouTube mein video upload karke kaise aap online earning kar sakte hai?
Toh iska jawab yeh hai ke sabse pehle aapko apna niche yani ke topic decide karna hoga aur us topic se related ek YouTube channel create karna hoga, aur fir aap ko usme best to best valuable content upload karna hoga usi niche ke around.
Fir youtube ke policy ke mutabik jaise hi aap unka set kiya hua threshold cross kar lete ho waise hi aap apne channel pe Adsense monetization ke liye apply kar sakte ho, phir YouTube team aapke channel ka review karne ke baad usme monetization normally approve kar dega.
Uske baad aap agar sahi valuable videos provide karpaao apne channel ke niche ko justify karte huye toh phir aap achi khasi online income earn kar sakte ho woh bhi regular basis par.
Aur Adsense ke alaava aap apne videos ko alag alag Affiliate product se bhi monetize kar sakte ho apne niche jo justify karte huye jisse aap alag se kuch handsome amount income kar sakte ho without any investment.
15. Create & Sell E-Books To Earn Money Online
EBook ek bahut hi successful tarika hai online earnings ka woh bhi without koi investment ke. Aise kayi world famous sakshiyat hai jinhone apna ebook launch karke puri duniya mein mashoor ho gaye aur uske alava million dollars bhi kama chuke hai aur har roz laakhon mein kama rahe hai.
Is mamle mein mera suggestion aapko ye hoga ke pehle aap achche se research karke ye seekhlo ke kaise ek book likha jata hai aur usme kaun kaun si cheezon ka dhyan rakhna padta hai.
Isko sikhne ka sabse acha tarika hai bade bade writers ke most successful ebooks ko padhna aur fir uske baad jab aapko ek basic idea hojaye tab aap apne us decide kiye huye topic pe ebook likhna shuru karo jis mein aapko maharath hasil ho yaanike jismein aap expert ho.
Sab Kuch sikhne aur samajhne ke baad aap microsoft word pey apni ebook likh sakte ho aur fir usko pdf format mein nikaal kar usko apne blog ya fir online store aur Amazon Kindle store se bhi sell kar sakte ho.
Aur is tarike se agar aapka ebook; readers ko pasand aane laga toh phir aap online earnings toh kar hi sakte ho sath hi sath achi khasi naam-o-shohrat bhi kama sakte ho.
16. Develop An Android App To Earn Money Online
Waise toh abhi tak jitne bhi online earnings ke methods maine aapko bataya hai ya toh woh sab free hai ya phir unme minimum investments lagti hai, par Android App develop karna koi free tarika nahi hai online earnings karne ke liye.
Ab aapke mann mein yeh aa raha hoga ke aise bohot saare websites aur apps available hai jahan se aap android app free mein bhi develop kar sakte hai bina koi investment kiye, to phir main aisa kyu bol raha hoon ke ye free method nahi hai.
Toh main aap ko bata du ke free mein app toh aap develop kar sakte hai par usko aap apne mann mutabiq monetize nahi kar sakte ho kyon ki free mein aapko koi bhi premium service nahin provide karne wala hai jab tak ke uske khudka kuch benefit naa ho usmein.
So ab aate hai main topic mein ke app kaise develop hota hai aur usme aapko kitna investment karna hota hai?
Toh main aapko ek baat clear kardu ke sabse pehle aapko ek accha sa different idea plan karna hoga ke aap apne app ke through kya value provide kar sakte hai jisse logon ko benefit hosake.
Uske baad aap kisi bhi app developer ke paas ja sakte ho aur apna android app design karwa sakte ho iske liye max to max aapko 20 to 50 thousand tak charge karega woh ek thik thak app design karne ke liye.
But sabse important baat jo aap ko dhyan mein rakhna hoga woh ye ke aapko apne app developer ke saath agreement karlena hoga ke yeh aapka idea hai aur ise woh legally copy nahin kar sakta hai.
Tab jaakar aap puri tarike se secure hokar us app ko Google Play Store ya phir koi bhi android app store pe upload kar sakte ho, jiske liye Google aapse ek minimum fees charge karta hai aur fir aapka app live hota hai playstore mein download ke liye.
Ab aap soch rahe honge maine toh ab tak yeh nahi bataya ke isse aap earnings kaise kar sakte ho, toh iska jawab hai ke aap us aapko google adsense ya phir kisi bhi ad service provider se monetize kar sakte ho aur sath hi mein kisi affiliate product se bhi monetize kar sakte ho.
Iske alava agar woh app bahut hi demandable ho to phir aap usko play store se sell bhi kar sakte ho.
Aur main aapko bata du ke agar aap is method ko use karke sahi se execute kar paate ho toh aap bahut achi online earning kar sakte ho woh bhi regular basis pe.
Make Money Online By Digital Marketing
Agar aapne pura article already padh liya ho to phir aap abhi aa chuke ho sabse important topic pe.
Ye main kis liye bol raha hoon kyun ki abtak maine aapse jitne bhi earning methods share kiye un sabko jaldi successful banane ke liye aapko online marketing ya phir digital marketing karna bahut hi zaroori hai.
Online marketing free mein bhi ho sakti hai ya phir aap paid marketing bhi kar sakte hain.
Aur isse earning is tarike se kar sakte hai ki ya toh aap apne kisi content ya service ko promote karke apni earning ko boost kar sakte hai ya phir aap kisi client or choti moti company ke liye digital marketing service provide karke usse earnings kar sakte ho.
Toh phir niche ke sections mein main kuch aise online marketing ka tarika batane wala hoon jinko aap apne business ke liye bhi use kar sakte ho aur dusre businesses ko bhi service provide kar sakte ho.
17. Social Media Marketing To Earn Money Online
Social media marketing sabse easy aur accha tarika ho sakta hai agar aap ek large fan base generate kar sako apne social media pages mein.
I hope ke aap Facebook, Twitter, Pinterest, Tumblr, Reddit jaise platform ko use karte hi honge, ab agar in mein se kisi bhi platform mein aapka large fan base hai to phir main aapko good news dedu ke in sab sites ke zariye se aap earnings bhi kar sakte hai.
Aap alag alag social network platform par register karke free of cost yani ke bina kuch bhi invest kiya apne content ya product ke related awareness faila sakte hai even social media ke zariye apne products sell bhi kar sakte hai.
Waise aap agar jaldi se jaldi apne content or product ko logon tak pahuchana chahte ho toh aap social network sites par bohot hi minimum amount invest karke advertisement run kar sakte ho, jisse ki aap jise chaho apna ads social media mein hi dekha sakte ho.
18. Email Marketing To Earn Money Online
Email marketing ka agar main aapko example dena chahu toh bahut hi simple hai yeh, aapne dhayan diya hoga kayi baar aapke mail mein alag alag company ya phir agencies ke emails aate honge, ji haan isi ko kehte hai email marketing.
Ismey aapko karna ye hota hai ke aapko apne targeted customers ke email address collect karne hote hai jo ke aap apne blog pe ek simple sa opt-in form use karke bhi kar sakte hai.
Aur fir un email addresses mein apne ya phir apne clients ke services aur products ko promote karke revenue generate kar sakte hai aur is tarike se aap apne content ko boost karke ya products sell karke kaafi online earnings kar sakte hai jiske liye normally aapko koi bhi investment nahi karni hoti hai.
Iske liye bahut hi important hai digital marketing ka knowledge hona jo ki aap sikh sakte hai agar aap mein jazba ho kuch banane ka kuch karne ka aur ghar baithe kuch online earning karne ka.
19. Online Advertisements To Earn Money Online
Online Ads marketing ek aisa method hai jiske zariye se aap apne budget ke mutabik paise invest karke apne content ya product ko apne niche ke target customers tak online pahucha sakte hai.
Aur iske liye bahut se digital agencies available hai par main aapko recommend karunga Google Adwords ka use karke apne ads ko run karna, kyun ke google ke paas jitna user database hai aaj ke waqt mein utna database kisi ke paas bhi nahi.
But agar aap khud se online ad campaign run karna chaho toh sabse pehle aap ko iske bare mein sikhna hoga aur achi khasi knowledge gain karni hogi aur phir uske baad hi aapko paise invest karne chahiye.
Aur jab aap sikh jao toh uske baad thode paise invest karke acha khaasa earnings generate kar sakte ho online advertisement ka use karke wo bhi ghar baithe hi.
Conclusion
Agar aapne is article ko pura padha hai toh phir I am sure ke aapko ab bahut saare aise raaste khulte nazar aa rahe honge jiske baare mein yaad toh aapko pehle pata nahi tha ya phir aap ko yakeen nahin tha.
Maine most of the reliable online earning methods ko bohot hi easy aur compact tarike se is article mein cover karne ki koshish ki hai aur aap ko sab sahi jankari dene ki puri koshish ki hai.
I believe ke aapko is article ke online earning methods pasand aaye honge aur aap ab plan kar rahe ho apna money making idea ko execute karneke ke liye, so mere taraf se aapko all the best.
Agar aapko is article se related koi bhi question ya doubt ho toh aap zaroor se zaroor comment section mein bataye, main koshish karunga jald se jald aapke questions ka answer deneko.
Aur agar aapko ye article useful laga ho toh aap ise apne family and friends ke saath zaroor share karein taaki ismein di gayi saari jankari un tak bhi pahuche aur wo bhi isse kuch seekh kar benefit le sake.
Agar inmein se kisi bhi method ya phir aur kisi bhi digital marketing se related topic ke baare mein aap detail mein janna chahte ho toh pehle is blog ko zaroor subscribe kare jisse aap ko hamesha pehle notification mile directly aapke email address par.
Aur phir next comment section mein apne thoughts share karein taki main next article ka topic decide kar saku jisse ke aapko help ho sake.
Thank you so much apna qeemti waqt yahan dene ke liye phir milte hai next article mein jaldi hi.