Agar aap ghar baithe minimum investment ke saath koi online business shuru karne ke baare mein soch rahe hain jisse aapko thik thak online earnings ho jaye toh fir dropshipping business model from India via china to the world aapke liye best option ho sakta hai.
Waise maine apne dusre blog post mein bahut saare online earning ideas share kiye hain, agar aap chaho toh is paragraph mein hyperlink ko click karke usko padh sakte hai, par agar aapne decide kar liya hai dropshipping business start karne ka toh fir is blog post ko padhna continue rakhe.
Is blog post mein maine aapke liye Aliexpress aur Shopify ka istemal karte hue dropshipping business ko step by step explain kiya hai, aur agar aap top to bottom har ek details achche sey padho toh fir is article ke khatam hote hote hi aap dropshipping ke baare mein sab kuch samajh jaoge.
Dropshipping Business Model Step By Step
Aaj main aapko Shopify ecommerce store open karke AliExpress ke zariye dropshipping business model ka istemal karte hue online business established karne se lekar us business se achi khasi online earnings karne ka step by step blueprint batane wala hoon.
Toh please aap is blog post ko bahut hi dhyan se padhna isme main is zabardast business plan ko hindi mein explain karne wala hoon jo ki aapko hazaaron US dollars online income karke desakti hai woh bhi itne kam waqt mein jitna aapne kabhi imagine bhi nahin kiya hoga.
But har business ke tarha yeh bhi koi easy process nahin hai, iske liye bhi aap ko bahut kuch sikhna aur janna zaroori hai, kyunki bina sikhe samjhe hi agar aap kisi bhi business mein kood padhte ho toh aapka bahut nuksaan ho sakta hai.
Is business ko successful karne ke liye aapke paas 4 cheezein hona bilkul compulsory hai, aur woh teen cheezein hai
- Ecommerce Ki Samajh
- Proper Research
- Required Investment
- Basic Marketing Skills
Agar yeh 4 cheezein aapke paas ho to phir aapko is dropshipping business mein success hone se koi bhi nahi rok sakta hai.
Par agar aapke paas yeh skills nahin hai toh bhi don’t worry is article mein maine har woh cheez cover kiya hai jisko agar aap baariki se samajh jao aur implement karna start kardo toh fir aapke liye bhi yeh koi mushkil baat nahi hogi.
What Is E-Commerce Business?
Waise toh ecommerce business ka definition chand words mein dena possible nahin hai par phir bhi aapko ek basic idea dene ke liye main ecommerce ko apne samjh ke mutabiq define kar raha hoon.
E-commerce business ek aisa business format hai jis mein aap internet ka istemal karte hue virtually yaani ke online platform jaise ke website yafir social media ke zariye se koi bhi physical and digital products yafir services buy and sell kar sakte ho woh bhi bade asani se.
Types Of E-Commerce Business
E-Commerce business normally 4 tariko se hota hai, aur is mein agar detail mein likhna start karu toh phir yeh article bahut lamba ho jayega isliye in short mein main aapko sirf yeh bata deta hoon ke woh 4 types kaun se hai;
- Business-to-business
- Business-to-consumer
- Consumer-to-consumer
- Consumer-to-business
Agar ecommerce ke baare mein aapko aur bhi detail mein janna ho to phir yatoh Google mein search kar sakte hai aur nahi toh aap comment box mein mujhe bata sakte hai agar aap chahte hai ke main isko alag ek blog post mein ache se explain karoon.
What Is Dropshipping Business and How Does It Work?
Sabse pehle jaan lete hai ke Drop-Shipping hota kya hai aur kaam kaise karta hai warna iske baad waale steps aapko kuch bhi sahi se samajh nahi aayenge.
Aur iske saath hi saath aapko yeh bhi bilkul clear ho jayega ke apne shopify online store se aap kaise dropshipping karke huge income kar sakte hai AliExpress naam ki ek most popular chinese ecommerce webstore ka istemal karke, jo ki dedicated place hai dropshipping ke liye.
Dropshipping ek bahut hi interesting and beneficial method hai jisme actually hota yeh hai ke aap apne ecommerce store mein jo bhi product sale karte ho unka stocks aapke paas kuch bhi nahin hota hai yani ke aapko koi bhi inventory kharidna ya phir maintain nahin karna hota hai.
Ab aap sochoge real mein yeh kaise possible hai bhala?
Toh main aapko batadoon ke yeh 100% mumkin hai aur bas isi point ko base karke maine yeh pura article likha hai taaki aap bhi apna online store easily create and run karpao aur ussey jitna chaho utna earning bhi karpao wo bhi bina kisi huge investment ke.
Toh ab aapko yeh batadoon ke yeh kaise hota hai actually mein,
Ismein hota yeh hai ke aapko kisi aur 3rd party seller jaise ke Aliexpress ke products ko apne store mein list karna hota hai aur fir jab bhi aapko aapke store mein us product ki koi order milti hai tab aap woh order us 3rd party seller ko place kar dete hain customer ka complete details dekar jo ki usne aapko order place karte waqt diya hai.
Phir uske baad woh product aapke haath mein kabhi bhi nahin aati hai, balke woh product seedha buyer ko delivery kardiya jata hai aapke behalf mein directly us 3rd party seller yaani ke Aliexpress ki taraf se.
So dropshipping ek aisa magical method hai jisko use karke aapko koi bhi investment nahi karna hota hai products inventory pe aur iske alava packaging, shipping se lekar sab kuch woh 3rd party seller yaani ki Aliexpress hi kar deta hai aapke behalf mein.
Aur aapko sirf product ki strategy banaakar uski marketing karni hoti hai aur customer se order lena hota hai, inventory management ke jhamele mein naa padhte huye hi, as simple as that.
Yaha ek cheez ka dhyan rakhna aur wo ye hai ke jab bhi ap dropshipping business start karo toh pehle United States ke customers ko hi target karo aur sirf aur sirf unko hi sell karo kyon ki USA ke log online shopping karna bahut pasand karte hai aur unko sell karna bahut hi aasan hota hai baqi countries ke logon ke muqable.
What Is Shopify & How Does It Work?
Shopify ek aisa platform hai jo complete solution provide karta hai kisi bhi tarah ka ecommerce business start karne ke ke liye, is mein aap ek professional ecommerce online store create karke apna koi bhi products ya phir services ko sale kar sakte hai woh bhi bahut hi kam waqt mein.
Yaha aap apne online orders ko organize karne se lekar, storefront customize karna, aur credit card se payment receive karne se lekar orders tracking aur respond bhi kar sakte hai woh bhi bahut hi asani se.
Shopify mein aise bahut saare possibilities hai jisse aap apna khud ka ek successful online store create kar sakte hai wo bhi bilkul biggest ecommerce giants Amazon, FlipKart, Myntra aur SnapDeal ki tarha.
Shopify mein ek full professional online store banane ke liye aapko bahut ki kam kharch karne padhenge jo ki kisi bhi physical store ke muqable kayi guna kamm hai, shopify ka pricing shuru hota hai $29 US dollars har mahine ke jo ki Indian money ke hisab se lagbhag sirf aur sirf ₹2000 se.
Yaha Click kare Shopify ka pricing aur plan ke bare mein achi tarike se jankari karne ke liye.
Why Use Shopify To Start Your E-Commerce Dropshipping Business From India?
Agar ek line mein kahu toh “Shopify is the best platform to run an online ecommerce store”. Par mera maqsad hai aapko har kuch detail mein samjhana taaki is blog post ko padhne ke baad aap easily apna business plan decide kar sako aur jald se jald apna dropshipping ecommerce store start kar sako.
So isliye maine point to point detail mein bataya hai ke why use Shopify to start ecommerce dropshipping business in India woh bhi pure hindi mein.
Aapko Ek Fast Loading Online Ecommerce Store Milegi
Kisi bhi ecommerce website ke liye sabse zyada important factor hoti hai uski loading speed, aisa is liye kyun ke bohot saare researches aur surveys sey yeh pata chalta hai ke ek normal person on an average sirf 4 second wait karta hai kisi bhi website ke loading hone ke liye aur agar woh website 4 second sey zyada time ley toh phir woh back karke dusre website mein chale jaata hai.
Toh is mamle mein Shopify pey agar aap apni ecommerce online store banate hai toh phir aapko bilkul bhi sochne ki zaroorat nahin hai kyun ki yeh ek bahut hi badi company hai aur million dollars kharch karti hai best store loading speed provide karwane ke liye.
Aur isi wajah se aaj duniya bhar mein laakhon companies apne successful online store ko Shopify pe run karte hai woh bhi befikre hokar ke.
Security Level Best Hai Online Payments Transaction ke Liye
Aaj ke waqt mein jis tarike se online businesses grow karrahi hai isse galat fayda uthane ke liye bahut saare hackers bhi panap chuke hai, aur har ek pal woh sirf is koshish mein hi lage rehte hain ke kis tarike se woh aapko loot sakey aur woh bhi online.
Isiliye kisi bhi online website or store jahan credit card use kiya jata ho usko secure karna bahut hi zaroori ho jati hai, aur iske liye normally SSL service use ki jaati hai jisse website kuch had tak secure ho jata hai,
leking ek highly secure SSL ke liye aapko achi khasi rakam kharch karne padh sakte hai jo ke initial level mein kisi bhi business owner ke liye afford karna thora mushkil hota hai.
Aur Shopify yeh highly secured SSL certificate aapko free mein provide karti hai jiske liye woh bohot hi highly secure software engineering use karte hai laakhon dollars invest karke.
Isliye aapke aur aapke customer ke liye Shopify ek bahut hi secure platform hai aapke online store mein kisi bhi tarah ka payment transaction karne ke liye.
Har Ek Zaroori Features Ek Successful Online Business Chalane Ke Liye
Kisi bhi ecommerce business ko successfully run karne ke liye aapko bahut saari features ki zaroorat hoti hai jinke bina aap kabhi bhi ek ecommerce site ko easily run nahin kar sakte hai.
Jab aap ek online store chalayenge karenge tab aapko zaroorat padegi integrated payment services ki jissey ki aap apne customers se asani se payment receive karsako.
Aur aise features bhi zaroorat hogi jissey aap apne mutabiq kisi bhi product ko easily add aur remove karsako aur uske alava ek analytics tool ki jissey aap gehrai mein ja kar apne store ko analyze kar sako aur is mein waqt aur zaroorat ke sath sath improvement laa sako.
Aur Shopify aapko yeh sab zaroori operational features provide karti hai jissey aap bahut hi kam waqt mein apne store ko bahut hi acche tarike se professionally maintain kar sakte ho woh bhi bina kisi deep technical aur coding knowledge ke hi.
Great Customer Support Jab Aap Koi Problem Face Karo
Kis bhi company ko well-reputed banaati hai uski customer support service, aur believe me mere liye toh issey zyada important cheez kuch bhi nahi ho sakti hai aur aapke liye bhi.
Kyun ke jab aap ek online store run karte ho aur aapko kisi tarah ki dikkat aati hai jisko kaise resolve kiya jaaye aapko naa pata ho tab aap bilkul aise feel karoge jaise ek bin maa baap ka akela baccha feel karta hai jiske liye puri dunia anjaan hoti hai.
Aur mera yakeen maaniye ke jab bhi aap apna online store run karenge aap ko bahut si dikkate aayengi jo ki aap khud sey solve nahi kar paoge.
Aur is maamle mein Shopify aapko provide karti hai ek best knowledgeable customer support service, chahe woh FAQ database ke zariye se ho, email aur chat support ho ya phir phone support ho.
Best Marketing & SEO Integration Aapke E-Commerce Store Ke Liye
Ek online store tab tak useless hai jab tak ke woh buyers ke samne na aaye. ji haan chahe aap jitna bhi acha store banalo aur usme best to best products listed kardo par in sab ka koi bhi matlab nahi jab tak ke aapke store mein customers hi naa aaye.
Aur iske liye aap ko zaroorat hoti hai aise features ki jisse aap apne store ka Search Engine Optimization karke usko google aur baaqi search engine mein buyers ke search result mein laa sako.
Aur iske alawa email marketing ke liye customer database collect karne ki bhi zaroorat hoti hai jiske liye aapko koi email marketing solution ki zaroorat hogi.
Is maamle mein shopify ek all in one solution hai kyun ke isme aap apne store ko SEO friendly bana sakte hai aur saath hi mein usme MailBot jaisi ek ecommerce dedicated email marketing tool se customer database bhi easily capture kar sakte hai jisse aap apne business ko aur bhi grow kar paoge.
Mobile Responsive Design Aur Extra Add-ons Aapke Online Store ke Liye
Kisi bhi online store ka layout design jitna clean aur attractive aur responsive yaani ke mobile aur tab friendly hota hai utna hi zyaada chances hai us online store se customers ko easily product sell karna.
Aur is maamle mein Shopify aapko provide karti hai bahut saare free aur paid themes with great and responsive design jisse aap apne store ko jaise chahe waise customize kar sakte ho wo bhi khud se.
Jaise ki har ek features kisi bhi theme mein at a time hona possible nahi hai, so iske liye Shopify aapko bahut saare alag alag free and paid app yaanike plugins provide karti hai jinko use karke aap apne online store ke functionalities ko bohot bohot improve kar sakte ho.
Oberlo Automation App For Shopify Dropshipping Store
Oberlo ek app hai jo initial level mein jab aap apna Shopify dropshipping store start kar rahe ho tab aapke liye bahut hi zyada helpful hoga, kyon ki ye app aapko help karega bahut sare manual works ko automation ke zariye complete karne mein.
Iska kaam hai Aliexpress jo ki China ki ek bahut hi badi ecommerce platform hai worldwide, uske products ko aapke store mein import kardena woh bhi sirf kuch button clicks ke zariye kuch minton mein.
Saath hi saath yeh aapke liye order tracking se lekar inventory maintain jaisi bohot si kaam asan kar deti hai.
Aliexpress ek bahut hi reliable aur cheap and best platform hai jahan se aap kisi bhi product ko bohot hi keefayeti daam mein apne store pe list karke easily usko dropship kar sakte ho achi khasi profit margin ke saath.
Aur is kaam ke liye sabse best aur popular app hai Oberlo, jo ki aapke Shopify store ko Aliexpress se connect karke aapke is kaam ko bahut hi asan kar deta hai.
Oberlo Chrome Extension ko bhi zaroor se zaroor apne Google chrome browser mein install karlena kyun ke yeh extension apke task ko aur bhi easy kardega jisse ki aap aur bhi jaldi kisi bhi Aliexpress product ko apne store mein import kar sakte ho dropshipping karne ke liye.
Aliprice Extension
Aliprice Extension ko bhi apne Google Chrome browser mein zaroor install karlena kyun ke ye aapke liye bahut helpful sabit ho sakti hai koi bhi products ke ratings and reviews ko analyze karne se lekar Aliexpress mein shortcut visit and aur bhi bahut saare tasks ke liye.
How To Set Up Shopify Dropshipping Store
Aapke dimag mein pehle ye sawaal araha tha ke online dropshipping business kaise start kare but ab hopefully aap ye soch rahe honge ke shopify mein apna online dropshipping store kaise banaye.
Jo ki is article mein main aapko detail mein nahi bata sakta kyon ki iske liye mujhe alag se ek article likhna hoga agar aap chahte ho toh.
Lekin filhal iske liye aapko YouTube mein kuch hindi video tutorials mil jayenge jissey aap easily seekh paoge ke Shopify mein step by step kaise set up kiya jata hai.
Waisehi ek bande ka video maine is article mein embed kiya hai aapke liye jo ki mujhe bahut hi useful laga.
Ye video meri khud ki toh nahi hai lekin maine ise just YouTube se dhoond kar yaha add kiya hai aapko sikhaane ke liye ke Shopify mein online store kaise create kiya jata hai.
Shopify Store Set Up Video Step By Step Tutorial ke Liye
Select A Profitable Category or Niche For Your Dropshipping Business
Shopify mein apna dropshipping store set up karne se pehle aapko apna store niche yaanike category decide karna hota hai.
Waise toh koi bhi ecommerce store 2 tarah ke hote hain #1 Niche store aur #2 General store.
So is mamle mein aapko bahut smartly play karna hoga aur bohot hi planning ke saath online business start karna hoga.
So ab main aapko Niche store aur General store ka basic difference bata deta hu bina der kiye phir aap khud decide karlena ke kaunse type ka online store aapke liye best hoga.
What Is A Niche Online Store?
Pehle ek simple sa question main aapse karta hoon, issey aap khud samajh jaoge ke niche store kya hota hai, question yeh hai ke “agar aapko only city gold ke items kharidney ho toh aap kahan jate ho?”
- Kisi general gift store mein jahan pe har kism ke gift items milte hai aur saath mein hi city gold ke bhi items available ho.
- Ya phir kisi aise shop mein jaate ho jahan sirf city gold ka hi items rehta ho yani ke woh dedicated shop ho sirf aur sirf City Gold items ke liye.
Main aapko bata dena chahta hoon ke zyda tar log us dedicated city gold ke shop mein hi jayenge agar unko city gold ka koi item lena ho, na ki us general gift center mein.
Aur issey yeh samajh aata hai ke jab aapko sirf city gold ka item purchase karna hota hai tab aap ek dedicated shop mein jaate ho aur isi tarah se kisi bhi particular category ko base karke jo online store hote hai unko niche stores kaha jata hai.
What Is A General Online Store?
General store ek aisa online portal hota hai jahan aap jo marzi woh sale kar sakte ho bas aapko har ek different product ke liye different category create kardena hota hai.
As for example Amazon, Flipkart and eBay jahan pe har kism ke products available mil jaate hai ek hi jagah par.
Hopefully main aapko samjha paya ke general online store kise kehte hai.
General Store Ya Phir Niche Store: Kaunsa Aapke Liye Best Hoga?
As per my suggestion aapko starting mein apne store ke liye general category select karna chahiye jahan pe aap jo marzi woh product list kar sako alag alag category define karke, aur iske liye aapko koi bhi rokne wala nahi hoga.
Kyon ki shuru mein hi agar aap ek particular niche select karte ho apne online store ke liye aur maanlo puri mehnat aur investment karne ke baad bhi aap sale generate naa kar pao toh phir aap demotivated ho jaoge.
Kyon ki apne ek particular niche select kiya hai apne online store ke liye aur chahte huye bhi aap usme dusri koi bhi category ka item list nahi kar paoge jo ki niche store ka ek bahut hi bada disadvantage hai.
Aur iska sabse bada reason hai ke ho sakta hai bahut se log already us niche ko pura nichod chuke hai aur usse related almost sara product already sale kar chuke hai jis wajah se aap ka niche store flop hone ka chances bahut badh jata hai general store ke comparison mein.
So main nahi chahta ki aap ek aisi galti karo jiski wajah se aap ka saara investment aur hard work waste ho jaye aur demotivated hokar aapko apna business close karna padhe.
Kyon ki abhi aapko ecommerce dropshipping ke baare mein bahut sikhna hoga aur experience gain karna tab fir aap baad mein niche store taiyar kar sakte ho.
So my advice is to you ke aap apne ecommerce dropshipping store ko filhal ek general category ka store rakho aur uska naam bhi kuch aisa hi select karo jo ke kisi bhi ek dedicated category se relate na karta ho.
Issey aap apne store mein alag alag product pe experiment kar paoge aur jo bhi product customer zyada like kare usko aap aur acche se focus karapao aur usko ek winning product pe convert kar paoge, aur uske baad agar aap chaho toh us winning product category ke around ek niche store start kar sakte ho.
Apna Domain Name Book Karein Apne Online Store Ke liye
It’s a very very crucial thing!
Niche select karne ke baad jab aap apne store ka naam decide karlo toh sabse pehle us naam ka ek domain Godaddy jaisi kisi popular domain provider website se purchase zaroor karlena.
Kyunki yeh aapke store ko ek professional identity provide karega aur kisi ko samajh bhi nahi aayega ke aapka ecommerce store Shopify pe run karta hai.
Main ek chota sa example deta hoon phir aap khud hi samajh jaoge ke main aisa kyun bol raha hoon jisse aap ka concept pura clear ho jaayega is mamle mein,
- Default Shopify Store Address = “youronlinestore.shopify.com”
- Your Own Purchased Store Address = “youronlinestore.com”
Hopefully ab aapko samajh aa chuka hoga ke main aapse kyon keh raha hoon apne khudka domain purchase karne aur use apne Shopify store se connect karne ko.
How to Sell Products & Make Money With Your Shopify Dropshipping Store?
Main maan leta hoon ke aapka store ready ho chuka hai aur ab launch bhi ho chuka hai, so ab aata hai main question ke apne shopify dropshipping online store se product sell karne ke tarike kya kya hain yaani ke sell kaise generate kare jisse ki aapka business chal sake.
Toh main aapko bata doon ke ab shuru hota hai asli khel jo ke aap ko khelna padhega apne store ko running karne ke liye aur sell generate karne ke liye.
Online sale generate karna offline yani ke kisi physical store se sell generate karne ke muqable mein thoda mushkil hota hai.
But still agar aap kuch strategies ka proper istemal karo toh phir itna bhi mushkil nahin hai online sell generate karna.
Aur haan sabse badi baat yeh hai ke aapko iske liye online marketing karna hoga jis mein aapko thodi bahut investment bhi karni honi, aur tab jaakar aap apne store se products sell karke online earnings kar paoge.
Kuch Trending Products Ko Find Karke Apne Store Mein Add karna
Sabse pehla kaam hai aapko ek aise product ki talash karna jo ki trending mein ho, aur iske liye aap ko alag alag tarike se research karna hoga aur sikhna hoga ke online marketing kaise kiya jata hai.
Commerce Inspector Extension Ke Zariye Apne Competitors Pe Nazar Rakhna
Commerce Inspector ek ultimate extension hai jise aapko apne chrome browser mein install karna hoga aur fir uske baad apne competitors ke activities ko track kar paoge.
Aur sabse important baat ke aap unke recent added products aur unke store sey related aur bhi jankari ko dekh paoge aur issey apko bhi idea hoga ke kis tarhe ka products aapke store ke liye accha hoga.
Apne Competitors Ke Best Selling Products Ko Spy Karna
Aapko apne similar niches mein spy yaani ke jasoosi karna hoga aur dekhna hoga konsa product unke liye accha kaam karraha hai yani ke unka kaunsa product best selling item hai.
Iske liye aap apne competitor ke shopify website ke end mein /?sort_by=best-selling yeh code add karke unka best selling product check kar sakte hai, example: https://yourcompetitor.com/?sort_by=best-selling. Waise yeh trick har website mein kaam nahi karega but still ye bahut useful trick hai.
Aur jab aapko samajh aajaye ke kaunsa product best selling item hai tab aap us product se koi similar product pe kaam kar sakte hain aur usko apna best selling product bana sakte hai.
Amazon Ke Best Selling Products Ko Check Karna
Aap Amazon India ke best selling products ko bhi dhoond sakte hai aur usse ye idea laga sakte hai ke kis tarha ka products ka zyada demand hai aur apne store niche ke mutabik waisa hi koi similar product ko apne store mein add karke uski marketing kar sakte hai.
Marketing Your Dropshipping Business Using Facebook & Instagram?
Sabse pehle aapko online marketing karne ka tarika aana chahiye jisse aap kisi bhi product ko winning product mein convert kar sakte hai.
Aur starting mein online marketing karne ka sabse bada tarika Facebook Ads and Instagram Influencers hai, aur in dono strategies ke baare mein main aapko basic idea dene wala hoon taaki aap ko samajhne mein asani ho jaaye.
Facebook Ads Marketing
Sabse pehle aap dusre facebook ads ko dekho aur unko analyze karo uske baad apne product ka ad create karo aur fir usko run karo aur isi tarike se aapko sells milenge.
Par iske liye aapko Facebook Business Manager ke baare mein sahi tarike se jankari honi chahiye tabhi aap sahi customer ko sahi waqt par kaise target karna chahiye jisse aapka sale generate ho yeh samajh paayenge.
Waise toh yeh koi rocket science nahin hai par iske liye aapko sikhna zaroori hai warna pata chalega ke saare paise aapne Facebook ads mein kharch kar diye aur uske against mein ek bhi sale generate nahin hua.
Facebook ads kaise create karna chahiye jisse ki sale generate ho sake ye aapko bahut saare YouTube videos mein mil jayenge hindi mein,
Par fir bhi agar aap iske baare mein detail mein sikhna chaho toh comment box mein bataao fir main demand ko dekhte huye is topic pe ek individual article detail mein likh dunga.
Lekin Facebook ads se related ek out of the box free training video main yahan add kar raha hoon taaki aap jald se jald sikh kar apna Facebook marketing start kar pao.
Facebook Ads Ka Free Course Video Hindi Mein
Instagram Influencers ke Zariye Se Marketing Karna
Waise yeh process bilkul easy hai aur agar aap ek beginner hai aur aapko Facebook ads chalana nahi aata toh fir aap Instagram mein invest karke acche khase sale generate kar sakte ho.
Jiska basic process main aapko samjha deta hoon taaki at least aap start karapao aur apna first sale generate karapao Instagram ke zariye se.
Sabse pehle aapko apne product se related niche ka koi Instagram page dhundna hoga uske baad us page mein kitne followers hai yeh dekhna hoga, minimum 100k followers ho toh bahut achchi baat hai.
Jab aapko aise page mil jaaye toh fir aap ko dekhna hai ke unke 24 hours se puraane post mein kitne likes aur comments hai, mere hisab se total page like ke 5 percent engagement rates hone chahiye.
Misal ke taur pe agar 100k ka 5% hota hai 5k so it means likes aur comments mila kar 5000 hona hi chahiye, aur most important thing yeh zaroor check karlena ke comments real person ke ho yaanike koi fake comments naa ho.
So agar aapko aisa koi page mil jaaye jo ki yeh sara criteria fulfill karta ho toh fir next step hai unko message karna aur puchna ke woh aap ke product ka promotion karenge ke nahin.
Aise 4 ya 5 pages agar aap dhoondo jo ke aapke niche mein influencers hai toh fir un sabko message kardo hopefully 5 mein sey 2 toh agree karhi jaayenge.
Uske baad aap woh deal $10 to $30 ke andar hi final karna tabhi jaakar aap us investment ka ROI yani ke profit dekh payenge.
Aur unse aapka deal 24 hours ke liye hoga jisme woh aapke diye gaye ad poster, description aur product link on their profile-bio run karenge aur issey 24 hours ke liye unke followers aapke customers honge jo ki aapke product ko purchase kar sakte hai.
Improve Your Offers & Boost Your Profit Margin
Ek cheez hamesha mind mein rakhte huye hi kisi bhi product ka price set karna woh yeh ke jo bhi customer product purchase karenge woh bhi aapke hi tarha ek insaan honge koi robot nahin.
So price agar bahut zyada high ho aur woh product dusri jagah easily available ho toh woh pehle comparison karenge aur kahi agar aap se kam price mein mila toh woh ads toh aapka dekhenge inspired bhi usi ad se honge par purchase karenge kisi aur se.
Toh most importantly aapko product aisa dhoondna hoga jo cheap and best ho aur aap usmein apna saara expenses add karne ke baad bhi profit margin rakh paao aur customer ko bhi best deal offer karapao taaki woh aapse hi us product ko purchase kare.
Aur haan kisi bhi product ko hamesha offer price mein hi rakhna issey us product ka price zyaada dikhaya jata hai aur kamm mein sell kiya jata hai issey customer bohot zyada attract hote hai aur sell karna aur bhi easy ho jata hai.
Aur yeh sab kuch itna mushkil bhi nahin hai agar aap thora sahi se proper research karo aur zyada lalach ke chakkar mein na jao toh fir is business mein paise hi paise hai.
Shipping Charges Kaise Liya Jaye
Agar aap customer sey shipping charges kitna lena chaahiye isko lekar confused ho toh main aapko basic idea dedeta hoon ke 0 to 100 Lbs ke liye $9.85 aap shipping charge le sakte ho.
But sabsey best hoga ke agar aap Free shipping ka offer do kyunki ultimately shipping ka jo charge aapko lagega woh toh aap product price mein include kar hi sakte ho aur isse customer attract hote hai aur sell finalize karna aur bhi easy ho jata hai.
Kyon ki koi bhi normal insaan hamesha offers ke talash mein rehte hai aur jab unko koi cheez discount mein milti hai aur woh bhi free shipping ke saath toh fir woh use jhat sey purchase kar lete hai.
How To Drive Free Traffic To Your Dropshipping Store Using SEO?
SEO yani ke Search Engine Optimization ek bohot hi badi topic hai jo ke yahan pey cover karna impossible hai but main aapko iske bare mein basic idea dedeta hoon taaki aapko samajh ajaye ke aakhir yeh kya cheez hoti hai.
SEO ka matlab hota hai ke kisi bhi online web page or product page ko is tarike se optimize karna taaki usko Google jaisa search engine asani se dhoond paye aur jab koi bhi insan google mein us topic se related kuch search kare toh fir Google usko woh particular content show kar paye apne search result page mein.
Waise toh SEO har online pages pe hote hai jaisey ke koi Blog Article, YouTube Video, Landing Page, Business Website Pages, etc.
Par agar aap apne store ke product ko bhi search engine ke hisab se optimize karpao to phir yeh mumkin hai ke aapke store ke products bhi search engine result pages ke top mein ajaye jisse aapko kuch sell bina paise kharch kiye bhi mil sake.
Apne Product Ke Liye Keyword Research Karna
Keyword research SEO ka ek bahut bada part hai isi mein simply aapko jis web page ko kisi bhi search engine mein rank karwana hota hai yani ke search result ke top mein le aana hota hai,
toh us web page se related kuch word phrases dhundne padhte hai aur us web page ke content ko un word phrases yani ke keywords ke around optimize kardena hota hai.
Isi tarike se aapko bhi apne store ke har ek product ko kuch specific keyword se optimize karna chahiye jo aapke product ko represent karta ho aur uska search volume bhi thik thak ho.
Issey normally Facebook ads and influencers ke help se sale generate karne ke alava bhi aapko kuch organic customers bhi mil sakte hai without any effort sirf SEO ke help se.
Waise toh keyword research karne ke liye bahut saare online tools available hai jo ki bahut hi expensive hote hai par main aapko ek aise keyword research tool ke bare mein batane ja raha hoon jo ki bahut hi powerful aur feature packed hai aur insab ke bawajood bhi woh bilkul free hai abtak, us tool ka naam hai Ubersuggest.
Email Marketing To Grow Your Dropshipping Business
Yeh bohot hi simple hai iske liye just aapko Shopify mein ek landing page create karna hota hai aur us mein ek subscribe Opt-In form include karna hota hai, aur iske alava aapko apne Shopify dropshipping store se MailBot jaise kisi ecommerce oriented email marketing service ko integrate kardena hota hai.
Aur phir iske baad fir jo bhi customer us landing page sey subscribe kare ya phir apke store se koi product purchase kare unko aap newsletters aur new offers bhejkar funnel ke zariye se apne aur bhi dusre product ko sell kar sakte hai.
Aur MailBot jaisa service yeh sab kaam aap ke liye almost automatic hi kar deta hai, par haan ye ek paid solution hai aur aapko iske liye ek monthly subscription lena padta hai jo ki $29 US dollar yani ke lagbhag ₹2000 indian money ka aata hai par agar aap mujhe puche toh yeh bilkul value for money hai.
Customer Satisfaction & Loyalty Gaining
Kisi bhi business ko successful banane ka sabse best tarika hai customer ko apne products and services se puri tarikhe se satisfy karna aur market mein apne brand ka loyalty aur goodwill taiyar karna.
Aur insab ke liye aapko kya kya karna hoga yeh main aapko point to point batane wala hoon taaki aapko isme koi bhi confusion na rahe aur aap bhi apne Shopify dropshipping business mein badi success achieve karpao.
Step By Step Process To Find AliExpress Best Sellers
Jab bhi aap AliExpress se dropshipping ke liye koi product select karo apne store ke liye toh sabse pehla important cheez jisko zaroor dhyan mein rakhna taaki aapke customers ko koi bhi problem naa face karna padhe, aur woh cheez hai us seller ke baare mein thora research karlena.
Ab aap sochoge ke kya research karein seller ke baare mein yeh toh aapko pata hi nahin!
Toh don’t worry main aapko kuch basic aur important criteria bata deta hoon taki aapko ismein bhi koi dikkat naa ho.
- Seller: Seller kaa naam.
- Positive Feedback (Past 6 months): Last 6 months mein unka Positive feedbacks rate kya hai.
- Feedback Score: Seller ka rating kya hai kul mila kar [5 or 4 Stars = 1 point | 3 Stars = 0 points | 2 or 1 Star = -1 point].
- AliExpress Seller Since: Seller kaa registration date kab ki hai yani ke woh kitne purana seller hai.
- Detailed Seller Ratings: Seller ke detailed rate un customers ke feedbacks se form kiya hua hota hai jo already products receive kar chuke hote hai us seller sey.
- Item as Described: Description ke mutabiq product match kar raha hai ya nahin.
- Communication: Seller kitna actively apne buyers ko respond karta hai aur unke problems ko solve karta hai.
- Shipping Speed: Seller kitna fast product ko ship karta hai aur haansko Delivery Speed sey confuse mat karna woh alag cheez hai.
- Feedback History: Feedback table kya hai seller ka different time periods ke according.
- All Feedback Received as a Seller: Seller ko customer se kya feedback mile hai.
- Feedback Left For Buyers: Seller ne buyers ko kya feedback diya hai.
- Crown Seller: Sabkuch dekhne ke baad yeh zaroor check karlena ke woh seller crown seller hai ya nahi, agar sara feedback uska achcha ho toh woh crown seller hi hoga jo ki ek achi baat hai.
Agar aap order karne se pehle yeh sab criteria ache se check karlo toh fir aapka dropshipping sahi sey ho jayega jisse aap bhi khush aur aapka customers
Always Use ePackets Shipping Method For USA & Other Supported Countries
ePacket delivery ek bahut hi popular aur fast service main jaati hai jise China se koi bhi product ko aap alag alag countries mein bohot hi fast delivery karwa sakte hai.
Aur us shipment ko aap easily track bhi kar sakte hai EMS or USPS ke website mein se, aur iske liye aapko chahiye hoga Tracking Code jo ki seller se aapko mil jayenge jab aapka order kiya hua product wo dispatch kardega.
Abhi ePacket ke through USA ke alava bhi aur bhi bahut sare countries mein aap product delivery karwa sakte hai but India ke liye yeh service abhi available nahin hai.
Most of the countries mein 7 to 10 days mein delivery ho jata hai par kuch countries mein 30 din tak bhi time lag sakta hai aur iske alawa ePacket ka maximum weight 2kg tak allowed hai.
Sabse important baat yaad rakhna ke jab bhi aapko order mile aur aap AliExpress mein apna order place karo zaroor se zaroor seller ko inform kardo ke aap dropshipping kar rahe ho aur aapko product mein koi bhi branding or invoice nahi chahiye taki apke customer ko nahi samajh aaye ke aap ne AliExpress se usko product bheja hai.
Simply jab bhi order place karo wahan pey “Leave A Message For Seller” karke ek option hoga wahan ek message daaldo “We’re dropshipping. No promotions & invoices, please!”
Add An Our Guarantee Section On The Product Page
Hamesha product ke description mein “Our Guarantee” karke ek assurance section add karna jisme customer ko yeh satisfaction ho ke aap unko best products aur service provide karoge aur unka card detail bilkul secure hoga aapke store ke saath.
Isse customer ka trust aap ke store par aur strong ho jayega aur isse ho sakta hai ke next time phir se woh aapke store mein aayenge aur wo sub customers dusro ko bhi suggest karenge agar woh khud aapke products aur support se fully satisfy ho paaye.
Conclusion
Agar aap abhi conclusion padh rahe ho toh iska matlab aapne pura article ko padh liya hoga aur aapko har ek cheez har ek process samajh aa chuki hogi ke Shopify and Aliexpress dropshipping method ka use karte huye apne khudka ecommerce business kaise setup kare.
Aur apne online store se bina koi inventory maintain kiye hi dropshipping ke zariye sell kaise generate kare aur sabse main cheez ke usse profit kaise kamaye ye bhi hopefully aapko samajh aa chuka hoga.
So ab main aapse request karta hoon ke is article ko apne circle mein har us insan tak pohchaye jo online income karna toh chahte hain par is tarha ki koi easy resources na hone ke wajah se kabhi kuch sikh aur kar nahin paate hain.
Aur agar aapko is article se related kisi bhi cheez ke bare mein koi bhi confusion ya question ho toh aap comment box mein zaroor bataaye, main jald se jald aapko answer deneki puri koshish karunga.
Thank you very much for your precious time and all the best for your dropshipping business ♥